Skip to main content

Thar Desert Rajasthan 2021 Travel Blog Hindi, Thar Desert Facts

Thar desert map

India Ek Bahut Badi Or Beautiful Country Hai, Jaha Around 28 States Hai.Yaha Ki Har State Me Bahut Beautiful Places Hai, Jinme Kuch Places Hill Stations Vaali Hai To Kuch. 

Beaches Vaali Iske Alaawa India Me Bahut Si Deserts Vaali Destinations Bhi Hai.Jaha Bahut Kam Greenery Hai, Jo Tourists City Ki Bheed Bhaad Se Door Jaana Chahte Hai Saath Hi. 

Jo Deserts Lovers Hote Hai, Wo In Jaghaao Par Jaane Se Pehle Ek Baar Bhi Nahi Sochenge.To Agar Aap Bhi Ek Desert Lover Hai To Aapne Thar Desert Ke Baare Me To. 

Zaroor Hi Suna Hoga, Jo World Ke Sabse Bade Deserts Me Se Ek Hai.Ye Desert Bahut Se Flora Or Fauna Spices Ka Ghar Hai, Thar Desert Famous Hai Golden Sand Dunes Ke Liye. 

Iske Alaawa Yaha Aapko Forts, Protected Areas Or Bhi Bahut Si Cheeze Dekhne Ko Milengi.Yaha Jaakar Aap Yaha Ke Culture, Heritage, Traditions Or Folk Dances Ke Saath Hi. 

Music Waghera Dekh Sakte Hai, Yaha Aap Camel Ride, Desert Safari, Camping Or Parasailing Ke Alaawa Or Bhi Bahut Si Activities Kar Sakte Hai, Is Desert Ko Ghoomne Ke Liye. 

Sirf Desh Se Hi Nahi Balki Videsh Se Bhi Bahut Tourists Aate Hai.To Agar Aap Bhi Is Beautiful Destination Jaane Ki Planning Kar Rahe Hai, To Ye Blog Aapke Kaam Ka Ho Sakta Hai. 

Kyunki Is Blog Me Aapko Is Beautiful Desert Ke Baare Me Detail Me Bataaya Jaayega.

        In This Blog

  • Where Is The Thar Desert Located?, Geography & Thar Desert Location. 
  • Thar Desert Facts & About This Desert. 
  • Fauna. 
  • Flora. 
  • Culture. 
  • How To Reach Thar Desert?
  • 30 Nearest Places To Visit Thar Desert. 
  • Best Time To Visit Thar Desert. 
  • Hotels In Thar Desert. 

Where Is The Thar Desert Located?, Geography & Thar Desert Location

Ye Desert Bharat Ke Northwest Mein Or Pakistan Ke Southeast Me Hai.Thar Desert Rajasthan Me Zyaadatar Fela Huwa Hai Iske Alaawa Iska Kuch Hissa Haryana Ke Alaawa. 

Punjab, Gujarat Or Pakistan Ke Sindh Me Bhi Fela Huwa Hai.Ye Beautiful Desert Aravali Hills Ke Western Kinaare Par Total 2,00,000 Km2 Ke Area Me Fela Huwa Hai, Is Desert Ka 85% Area. 

India Me Hai Jabke Bacha Huwa Iska 15% Area Pakistan Me Fela Huwa Hai.Jisme 60% Se Zyaada Ka Thar Desert Area Akele Indian State Rajasthan Me Hi Fela Huwa Hai.

Is Desert Ka 1,70,000 Km2 Ka Area India Me Hai, Jabke Bacha Huwa 30,000 Km2 Ka Area Pakistan Me Hai.Luni River Yaha Integrated (एकीकृत) Ekmaatr River Hai Iske Alaawa. 

Salt Water Lakes Me Yaha Rajasthan Me Sambhar, Kuchaman, Didwana, Pachpadra Or Phalodi Or Gujarat Me Kharaghoda Shaamil Hai.( 5 Tourist Destinations Of Deserts India

Thar desert of india


Thar Desert Facts & About This Desert 

Thar Desert Ko Great Indian Desert Ke Roop Me Bhi Jaana Jaata Hai.Ye Desert World Ka 17th Sabse Bada Or World Ka 9th Sabse Bada Hot Subtropical (उपोष्णकटिबंधीय) Desert Hai.

Thar Naam Local Word "Thul" Se Liya Gaya Hai Jiska Matlab "Sand" ( रेत ) Hota Hai.Is Desert Me Bahut Door Door Villages Dekhne Ko Milte Hai, Yaha Agar Koi City Developed Huwi Hai. 

To Wo Hai Jodhpur, Pashupaalan Or Agriculture Is Desert Me Important Business Hai.Yaha Animals Me Cow, Bull, Buffalo, Goat, Sheep, Horse Or Donkey Paale Jaate Hai. 

Jabke Yaha Camels Bhi Bahut Paale Jaate Hai.Rajasthan Ki Total Population Ki Around 40% Population Is Desert Me Rehti Hai, Jodhpur Is Region Ki Largest City Hai. 

Jo Scrub Forest Zone Me Hai, Bikaner Or Jaisalmer Proper Is Desert Mein Hai.Thar Region Bharat Me Sabse Bada Wool Producing Area Hai, Is Desert Me Established. 

Woolen Thread Banaane Ke Liye Kuch Major Mills Me Jodhpur Woolen Mill (Jodhpur), Rajasthan Woolen Mill, (Bikaner) Or India Woolen Mill (Bikaner) Waghera Shaamil Hai.

Jabke Bikaner Asia Me Wool Ki Sabse Badi Mandi Hai.Bharat Me Total Wool Production Me Se 40% Se 50% Rajasthan Se Aata Hai, Chokla, Marwari Or Jaisalmeri Ke Saath Saath Hi. 

Magra, Malpuri, Sonadi, Nali Or Pungal Jesi Sheeps Ki Breads Is Region Me Paayi Jaati Hai.Thar Desert Vegetation Ki Agar Baat Kare To Yaha Planting Ke Liye Suitable Kuch. 

Local Trees Species Hai Jo Yaha Slowly Grow Ho Rahi Hai.Is Desert Me Bahut Si Tree Spices Ko Azmaaya Gaya Hai Jinme Eucalyptus, Acacia, Cassia Or Dusri Genera Isreal Ke Saath Hi. 

Australia, US, Russia, Zimbabwe, Chile, Peru Or Sudan Se, Waghera Shaamil Hai.Yaha Bahut Se Protected Areas Bhi Hai Jinme Thar Desert In India Me.

Desert National Park ( 3,162 Km2 ) Ke Area Me, Tal Chhapar Sanctuary ( 7 Km2 ) Area Me Or Sundha Mata Conservation Reserve Jo 117.49 Km2 Ke Area Me Fela Hai, Wo Shaamil Hai.

Jabke Is Desert Ke Pakistan Ke Area Me Nara Desert Wildlife Sanctuary, Rann of Kutch Wildlife Sanctuary, Lal Suhanra Biosphere Reserve Or National Park Waghera Shaamil Hai.

Thar desert images


Fauna

Kuch Wildlife Species Jo Bharat Ke Dusre Hisso Me Tezi Se Khatam Hoti Jaa Rahi Hai.Wo Is Desert Me Badi Sankhya Me Paayi Jaati Hai, Jese Rann Of Kutch Me Blackbuck Ke Alaawa. 

Chinkara Or Indian Wild Ass Waghera, Iske Alaawa Dusre Thar Desert Animals Me Red Fox Ki Ek Subspecies (उप-प्रजाति) Or Caracal Paaye Jaate Hai, Ye Region Migratory Ke Saath Hi. 

Resident Birds Ki 141 Species Ka Ghar Hai, Yaha Ki Birds Species Me Eagles, Harriers, Falcons, Buzzards, Kestrel Or Vultures Shaamil Hai, Iske Alaawa Yaha Short-Toed Eagles. 

Tawny Eagles, Greater Spotted Eagles Or Laggar Falcons Bhi Hai.Yaha Bahut Si Reptiles Ki Bhi Species Paayi Jaati Hai.Indian Peafowl Is Desert Me Ek Resident Breeder Hai. 

Peacock Jise Bharat Ka National Bird Naamit Kiya Gaya Hai.Wo Yaha Deblina Village Me Khejri Or Pipal Ke Trees Par Betha Dekha Jaa Sakta Hai, Is Desert Me Lizards Ki Around. 

23 Species Or Snaks Ki 25 Species Paayi Jaati Hai, Jinme Se Bahut Si Is Region Ke Liye Endemic ( स्थानिक ) Hai.( Uncrowded Hill Station Near Delhi

Flora

Is Desert Ki Natural Flora Trees, Shrub (झाड़ी) Or Herb (जड़ी-बूटियों) Ki Species Se Milkar Bani Hai.Isliye Yaha Ke Trees Or Shrubs Me Acacia jacquemontii Or Balanites Roxburghii Ke Saath. 

Ziziphus Nummularia, Calotropis Procera Or Suaeda Fruticosa Jesi Or Bhi Species Shaamil Hai.Jabke Yaha Ke Herbs Or Grasses Me Ochthochloa Compressa Ke Saath Saath Hi. 

Dactyloctenium Scindicum, Lasiurus Scindicus, Cenchrus Ciliaris Or Eragrostis Jesi Or Bhi Species Shaamil Hai.Is Desert Ki Endemic (स्थानिक) Floral Species Me. 

Calligonum Polygonoides, Prosopis Cineraria, Cenchrus Biflorus, Acacia Nilotica Or Tamarix Aphylla Waghera Shaamil Hai.

Thar desert picture


Culture 

Yaha Ke Logo Ko Folk Music Or Folk Poetry Ka Great Passion Hai.Thar Desert Ke Indian Vaale Part Mein Hindus, Jains, Sikhs Or Muslims Rehte Hai Jabke Pakistan Vaale Part Me. 

Hindu Or Muslim Dono Rehte Hai, Yaha Bahut Se Festivals Bahut Utsaah Or Josh Ke Saath Manaaye Jaate Hai.Jinme Se Ek Hai Rajasthan Desert Festival Jo Har Saal Ek Baar.

Winter Me Yaha Aayojit Kiya Jaata Hai, Is Festival Me Yaha Ke Log Dance Karte Hai Or Geet Gaate Hai.Is Festival Me Sapere, Katputli, Kalabaaj Or Folk Performers Bhi Aate Hai.

Camels Of Course Is Featival Me Starring Role Nibhaate Hai.Is Festival Me Aap Rajasthan Ke Rich Or Colorful Folk Culture Ko Dekh Sakte Hai, Yaha Best-Dressed Camel Ke. 

Competition Me Pravesh Karne Ke Liye Special Efforts Animals Ki Dressing Me Kiye Jaate Hai.Iske Alaawa Yaha Moustache Or Turban Tying Competitions Bhi Hote Hai Jo. 

Yaha Ke Traditions Ko Darshaate Hai, Turban Or Moustache Dono Rajasthan Me Sadiyon Puraane Samman Ke Prateek Rahe Hai, Yaha Evenings Me Music Or Dance Ke. 

Main Shows Hote Hai, Late Night Tak Ye Continue Rehne Tak Har Raat Darshako Ki Sankhya Badh Jaati Hai.( Chitkul Last Indian Village Travel Blog In Hindi

How To Reach Thar Desert 

By Air 

Agar Aap Yaha Flight Se Jaana Chahte Hai To Nearest Major Airport Hai Jodhpur Airport.Jo Is Beautiful Desert Se 361.6 Km Ki Doori Par Hai Uske Baad Aap.

 Jodhpur Se Is Beautiful Desert Tak Bus Ya Taxi Se Pahunch Sakte Hai. 

By Train 

Agar Aap Yaha Train Se Jaana Chahte Hai To Nearest Railway Station Hai Jaisalmer Railway Station.Jo Is Desert Se 93 Km Ki Doori Par Hai. 

Uske Baad Aap Is Desert Tak Taxi Ya Bus Se Pahunch Sakte Hai. 

By Bus 

Agar Aap Yaha Bus Se Jaana Chahte Hai To Aap Nearest Places Jese Jodhpur, Udaipur, Bikaner, Mount Abu, Jaisalmer Waghera Se Is Desert Tak Bus Se Pahunch Sakte Hai.

Thar desert


30 Nearest Places To Visit Thar Desert 

01. Kiradu Historical Temple Parmar Era. 
02. Mateshwari Tanot Rai Temple. 
03. Kuldhara Abandoned Village. 
04. Chandraprabhu Jain Temple. 
05. The Thar Heritage Museum. 
06. Longewala War Memorial. 
07. Vyas Chhatri Sunset Point. 
08. Barmer Mountain Ranges. 
09. Jaisalmer War Museum. 
10. Kothari's Patwa Haveli. 
11. Salam Singh Ki Haweli. 
12. Desert Cultural Centre. 
13. Akal Wood Fossil Park. 
14. Government Museum. 
15. Mahabar Sand Dunes. 
16. Desert National Park. 
17. Jaisalmer Wind Park. 
18. Nathmal Ki Haveli. 
19. Bara Bagh Temple. 
20. Sam Sand Dunes. 
21. Raja Ka Mahal. 
22. Jaisalmer Fort. 
23. Baa Ri Haveli.
24. Pokhran Fort. 
25. Gadisar Lake. 
26. Khabha Fort.
27. Nachna Fort. 
28. Tazia Tower. 
29. Amar Sagar. 
30. Jaisalmer.

Best Time To Visit Thar Desert 

Summer

April Se August Tak Yaha Summer Season Hota Hai, Ye Beautiful Destination Ek Desert Hai.Jis Wajah Se Summer Me Yaha Bahut Garmi Hoti Hai, Summer Me.

Thar Desert Temperature 45° Se 50° Degree Celsius Tak Hota Hai.Is Time Yaha Garam Hawa Jise "Loo" Kehte Hai, Wo Bhi Chalti Hai.Summer Yaha Jaane Or Sightseeings Ke Alaawa. 

Outdoor Or Adventure Activities Ke Liye Bhi Accha Time Nahi Hai.Balki Summer Yaha Off Season Hota Hai, Jis Wajah Se Yaha Is Time Bahut Kam Tourists Jaate Hai, Isliye Is Time. 

Yaha Aapko Camps Or Hotels Waghera Discount Par Mil Jaayenge.To Agar Aap Yaha Budget Me Travel Karna Chahte Hai, To Summer Me Yaha Aap Jaa Sakte Hai Agar. 

Aap Yaha Summer Me Jaate Hai To Saath Me Sunscreen Cream, Light Cotton Clothes, Sunglasses Or Paani Leke Jaana Na Bhoole.( Jim Corbett National Park Hindi Full Travel Guide

Monsoon

September To October Tak Yaha Monsoon Season Hota Hai.Monsoon Me Bhi Thar Desert Weather Garam Hi Hota Hai, Jabke Summer Ki Tulna Me Monsoon Me Yaha Ka. 

Weather Fir Bhi Thoda Theek Hota Hai, Monsoon Yaha Bahut Kam Time Ke Liye Hota Hai.Jabke Monsoon Me Yaha Zyaada Baarish Bhi Nahi Hoti Hai, Is Time Yaha Ka. 

Maximum Temperature 35° Degree Celsius Tak Hota Hai.To Is Time Bhi Yaha Bahut Zyaada Tourists Nahi Jaate Hai, Kabhi Kabhi Yaha Monsoon Me Halki Baarish Ki Wajah Se. 

Humidity Bhi Badh Jaati Hai, Agar Is Time Yaha Aap Jaana Chahte Hai To Jaa Sakte Hai.Is Time Bhi Yaha Aapko Camps Or Hotels Waghera Par Discounts Mil Jaayega. 

Jabke Is Time Yaha Aapko Thodi Bahut Greenery Waghera Dekhne Ko Bhi Mil Sakti Hai.

Winter 

November To March Tak Yaha Winter Season Hota Hai.Winter Thar Desert Best Time To Visit Hai, Is Time Yaha Ka Temperature 5° Degree Celsius Tak Pahunch Jaata Hai. 

Jis Wajah Se Is Time Yaha Bahut Sardi Hoti Hai, Winter Yaha Ke Sightseeings Or Adventure Activities Jese, Jeep Safari, Camel Safari Or Camping Waghera Ke Liye Bhi Best Time Hai. 

Ye Yaha Ka Peak Tourist Season Bhi Hota Hai.Jis Wajah Se Is Time Yaha Bahut Crowd Hota Hai Agar Winter Me Aap Yaha Jaate Hai To Saath Me. 

Aapko Yaha Garam Kapde Zaroor Leke Jaane Chahiye. 

Thar desert temperature


Hotels In Thar Desert 

Agar Aap Yaha Rukna Chahte Hai To Aapko Yaha Rehne Ke Liye Kuch Camps Waghera Mil Jaayenge.Jinme Raat Ko Aap Bonfire Waghera Enjoy Kar Sakte Hai Ya Fir In Camps Me. 

Ruk Kar Aap Yaha Raat Ko Folk Dances, Folk Music Or Cultural Activities Waghera Enjoy Kar Sakte Hai.Yaha Aapko Cheap Camps Or Luxury Camps Dono Mil Jaayenge.

Aap Iske Paas Jaisalmer Me Bhi Ruk Sakte Hai, Jaisalmer Me To Aapko Rehne Ke Liye Bahut Option Mil Jaayenge Wo Bhi Aapke Budget Ke According. 

Agar Aapko Aisa Lagta Hai Ki Is Blog Se Aap Ki Kuch Help Huwi Hai.Ya Fir Aapko Ye Blog Pasand Aaya Ho To Hamaari Is Blog Website Ko Subscribe Karna Na Bhoole 

Taaki Hamaare Aane Vaale Har Travel Blog Ke Baare Me Aapko Update Mile. 



Comments

Popular posts from this blog

How To Travel Leh Ladakh In Budget 2021, Leh Ladakh Visit Best Time

Leh Ladakh Ek Beautiful Travel Destination Hai.Zyaada Tar Logo Ki Dream Place Bhi Ye Beautiful Destination Hi Hoti Hai.Ye Ek Aisi Jagah Hai Jaha Mausam Minto Me Change Ho.  Jaata Hai, Par Neela Aasmaan, Bade Bade Banjar Or Snow Capped Mountains Saath Hi Jheelo Ka Neela Or Saaf Suthra Paani Bhi Aapko Is Hi Jagah Par Dekhne Ko Milega. Lekin Yaha Jaana Aapki Pocket Par Bhaari Bhi Pad Sakta Hai, Kyunki Yaha Jaane Me Aapka Zyaada Kharch Ho Sakta Hai.Jo Log Afford Kar Sakte Hai Is Beautiful Destination Ko.  Travel Karna Vo Jaa Bhee Sakte Hai, Lekin Me Aapko Aajke Is Blog Me Kuch Aisi Cheeze Bataaunga Jinko Karke Aap Is Jagah Jaane Ka Budget Bahut Kam Kar Sakte Hai.  Wese Leh Ladakh Bike Trip Ka Trend Bhi Tourists Or Bikers Ke Beech Bahut Badhta Jaa Raha Hai.Bahut Se Log Leh Tak Flight Se Bhi Jaate Hai, Uske Baad Wo Leh Se Ladakh Tak.  Bike Se Jaate Hai, Agar Aap Yaha Jaana Flight Se Afford Kar Sakte Hai.To Ye Aapke Liye Bhi Ek Accha Option Ho Sakta Hai.Ab Aate Hai Point Par Ladakh Pahunchn

Pushkar In Rajasthan Travel Blog 2021, Pushkar Visiting Places

Poore India Me Wese To Bahut Si Beautiful Places Hai.Jin Places Ki Kuch Na Kuch Apni Alag Specialty Hai, Jinki Wajah Se Wo Famous Bhi Hai Wahi Baat Agar Kahi Ghoomne.  Jaane Ki Ho, To Aksar Hamaare Dilo Dimaagh Me Himachal Pradesh, Uttarakhand, Tamil Nadu Ya Kerala Jesi Jaghaao Ka Hi Khayaal Aata Hai, Par In Jaghaao Ka Khayaal.  Dimaagh Se Hataa Kar Aap Agar India Ki Dusri Beautiful Places Jaane Ke Baare Me Sochenge, Pata Kare Ya Fir Search Karenge To Aapke Saamne Pushkar Jesi Jagah Ke Naam Ke.  Baare Me Zaroor Aayega, Ye Ek Beautiful, Ancient Or Holy City Hai.Pushkar Famous Hai Temples, Lakes, Cattle Trade, Wood Painting, Pushkar Mela Or Bazaars Ke Alaawa.  Ye Famous Hai Ghats Waghera Ke Liye, Yaha Aap Bahut Si Adventure Activities Bhi Enjoy Kar Sakte Hai.Jese Camping, Hot Air Ballon Ride, Camel Safari Or Jeep Safari Waghera. Yaha Sirf Desh Se Hi Nahi Balki Videsh Se Bhi Bahut Tourists Aate Hai.To Agar Aap Bhi Is Beautiful Destination Jaane Ki Planning Kar Rahe Hai, To Ye Blog Aapke