Poore India Me Wese To Bahut Si Beautiful Places Hai.Jin Places Ki Kuch Na Kuch Apni Alag Specialty Hai, Jinki Wajah Se Wo Famous Bhi Hai Wahi Baat Agar Kahi Ghoomne.
Jaane Ki Ho, To Aksar Hamaare Dilo Dimaagh Me Himachal Pradesh, Uttarakhand, Tamil Nadu Ya Kerala Jesi Jaghaao Ka Hi Khayaal Aata Hai, Par In Jaghaao Ka Khayaal.
Dimaagh Se Hataa Kar Aap Agar India Ki Dusri Beautiful Places Jaane Ke Baare Me Sochenge, Pata Kare Ya Fir Search Karenge To Aapke Saamne Pushkar Jesi Jagah Ke Naam Ke.
Baare Me Zaroor Aayega, Ye Ek Beautiful, Ancient Or Holy City Hai.Pushkar Famous Hai Temples, Lakes, Cattle Trade, Wood Painting, Pushkar Mela Or Bazaars Ke Alaawa.
Ye Famous Hai Ghats Waghera Ke Liye, Yaha Aap Bahut Si Adventure Activities Bhi Enjoy Kar Sakte Hai.Jese Camping, Hot Air Ballon Ride, Camel Safari Or Jeep Safari Waghera.
Yaha Sirf Desh Se Hi Nahi Balki Videsh Se Bhi Bahut Tourists Aate Hai.To Agar Aap Bhi Is Beautiful Destination Jaane Ki Planning Kar Rahe Hai, To Ye Blog Aapke Kaam Ka.
Ho Sakta Hai, Kyunki Is Blog Me Aapko Is City Ke Baare Me Detail Me Bataaya Jaayega.
In This Blog
- Where Is Pushkar? & Geography.
- About This In Detail.
- Pushkar Fair.
- How To Reach Pushkar?
- Nearest Pushkar Visiting Places.
- What Is The Best Time To Visit Pushkar?
- Hotels In Pushkar.
Where Is Pushkar? & Geography
Pushkar Rajasthan Ki Ajmer District Me Pushkar Lake Ke Kinaare Par Ek City Hai.Ye City Rajasthan Ke Centre-East Part Me Aravalli Mountains Ke Western Side Me Hai.
Ye Beautiful Destination Thar Desert Ke Border Se Lagi Huwi Hai Or Ye 510 Meter Ki Height Par Hai.Ye City Mount Abu Se 379.3 Km, Or Ajmer Se 15.4 Km Ke Saath Saath Hi.
Jodhpur Se 185.5 Km, Rajasthan Ki Sabse Badi City Jaipur Se 145.5 Km, Bhilwara Se 149.3 Km, Pali Se 182.2 Km, Kota Se 228.2 Km Or Bikaner Se 251 Km Ke Alaawa.
Jaisalmer Se 458.3 Km, Alwar Se 289.9 Km Or Udaipur Se 276.7 Km Ki Doori Par Hai.
About This In Detail
Pushkar Ka Sanskrit Me Matlab Blue Lotus Hota Hai Or Ye City Hindus Or Sikhs Ke Liye Ek Pilgrimage Site ( तीर्थ स्थल ) Hai.Pushkar Temple Or Ghats 18th Century Yaa Uske Baad Ke Hai.
Kyunki Is Area Me Muslim Conquests Matlab (मुस्लिम विजय) Ke Dauraan Bahut Se Temples Ko Nasht Kar Diya Gaya Tha, Jinhe Baad Me Rebuilt Bhi Kiya Gaya Tha.
Is City Me Laal Rang Ka Brahma Temple Sabse Zyaada Famous Hai.Jise Pushkar Dwara Banwaaya Gaya Tha Jo Vedmata Gayatri Ke Father The, Yaha Or Bhi Mandir Hai.
Par Wo Aadhunik Hai Jese Savitri Or Badrinarayan Waghera.Yaha Ki Ek Bahut Famous Lake Hai Jise Pushkar Lake Ke Roop Me Jaana Jaata Hai Yaha 52 Ghats Hai Jaha.
Pilgrims Snaan Karte Hai, Is Beautiful City Ko "Rose Garden Of Rajasthan" Bhi Kaha Jaata Hai.Yaha Ka Rose Flower Duniya Bhar Me Export Kiya Jaata Hai, Is Holy City Me.
Egg Or Meat Ka Sevan Varjit Hai, 1,998 Me Is Beautiful Destination Me Around 1 Million Tourists Aaye The.Jinme Se 95% Tourists Domestic Hi The Baaki Ke Foriegn Tourists The.
Is City Ke Paas Ke Areas Me Gehoon, Baajra, Jvaar, Sugarcane Or Makka Ki Upaj Hoti Hai.Is Holy City Me Bahut Se Snaan Ghats Hai Inhi Snaan Ghats Me Se Ek Ko.
Gobind Ghat Kaha Jaata Hai Jise Guru Gobind Singh Ji Ki Yaad Me Sikhs dwara Banaaya Gaya Tha.( Jodhpur Travel Guide Hindi )
Ye Beautiful Destination Jaipur Or Ajmer Jesi Jaghaao Ke Logo Ka Ek Popular Weekend Getaway Bhi Hai.
Pushkar Fair
Ye Fair Yaha Karthik Purnima Ko Lagta Hai Jisme Badi Sankhya Me Desi Or Videshi Tourists Aate Hai.Art Culture And Tourism Department Is Avsar Par Yaha Cultural Events Ka.
Aayojan Karte Hai, Ye Fair Yaha Bahut Saalo Se Chalta Aa Raha Hai.Isme Camel Fair Bhi Lagta Hai, Is Fair Me Khaane Peene Ke Saath Hi, Jhoole Or Naach Gaane Bhi Hote Hai.
Is Fair Me Hot Air Ballon Ride Bhi Hoti Hai Jisme Ride Karne Par Uppar Se Ye Fair Or Bhi Khoobsurat Lagta Hai.Yaha Ye Mela Specially Camels Ke Saath Saath Or Bhi Animals Ka.
Mela Hota Hai, Poore Rajasthan Se Log Apne Apne Camels Lekar Is Mele Me Aate Hai.In Camels Ki Race Bhi Hoti Hai Or Jeetne Vaale Ko Prizes Waghera Bhi Milte Hai.
Yaha Sabse Acche Dikhne Vaale Camels Ko Bhi Prizes Diye Jaate Hai.Pushkar Mela Me Poora Din Or Shaam Ko Traditional Dance Or Bhi Bahut Si Cultural Activities Hoti Hai.
Iske Alaawa Is Mele Me Shaam Ko Aarti Bhi Hoti Hai.( Mount Abu Travel Blog Hindi )
How To Reach Pushkar?
By Air
Agar Aap Yaha Flight Se Jaana Chahte Hai To Nearest Major Airport Hai Jaipur International Airport.Jo Is City Se 154.8 Km Ki Doori Par Hai Uske Baad Aap.
Is Beautiful Destination Tak Bus Ya Taxi Se Pahunch Sakte Hai.
By Train
Agar Aap Yaha Train Se Jaana Chahte Hai To Nearest Major Railway Station Hai Ajmer Railway Station Jo Is Holy City Se 14 Km Ki Doori Par Hai Uske Baad.
Aap Is City Tak Taxi Ya Cab Se Pahunch Sakte Hai.
By Bus
Agar Aap Yaha Bus Se Jaana Chahte Hai To Ya To Aap Pushkar From Delhi Direct Bus Se Pahunch Sakte Hai.Yaa Fir Aap Yaha Iski Nearest Places Jese Jaipur Or Ajmer Ke Alaawa.
Jaisalmer Jesi Jaghaao Se Is Beautiful City Tak Bus Se Pahunch Sakte Hai.( Udaipur Full Travel Guide In Hindi )
Nearest Pushkar Visiting Places
Shri Rama Vaikunth Nath Swami Temple.
Sri Rangnath Swamy Temple.
Sri Panchkund Shiva Temple.
Pushkar Brahma Temple.
Manibandh Shakti Peeth.
Varah Pushkar Temple.
Gayatri Mata Temple.
Savitri Mata Temple.
Mahadeva Temple.
Aloo Baba Temple.
Gurudwara Sahib.
Pushkar Desert.
Pushkar Bazaar.
Varaha Temple.
Foy Sagar Lake.
Pushkar Lake.
Rangji Temple.
Brahma Ghat.
Sarafa Bazar.
Rose Garden.
Varaha Ghat.
Naga Pahar.
Kishangarh.
Man Mahal.
Merta City.
Gau Ghat.
Ajmer.
What Is The Best Time To Visit Pushkar?
Summer
March To June Tak Yaha Summer Season Hota Hai.Summer Me Pushkar Weather Bahut Garam Hota Hai, Jis Wajah Se Yaha Ke Sightseeings Karne Me Bahut Mushkil Hoti Hai.
Summer Me Yaha Ka Temperature Bahut Baar 40° Degree Celsius Se Uppar Tak Bhi Chala Jaata Hai.Isliye Is Time Yaha Bahut Kam Tourists Jaate Hai, Is Time Yaha Kam.
Tourists Hone Ki Wajah Se Hotels Waghera Par Discounts Bhi Mil Jaata Hai.Summer Yaha Ki Adventure Activities Ke Liye Bhi Accha Time Nahi Hai, Agar Aap Yaha Budget Me.
Ghoomna Chahte Hai To Is Time Aap Yaha Jaa Sakte Hai.Agar Aap Summer Me Yaha Jaaye To Saath Me Light Cotton Clothes, Sun Protected Cream Or Sunglasses Leke Zaroor Jaaye.
Monsoon
July To October Tak Yaha Monsoon Season Hota Hai.Monsoon Me Bhi Yaha Garmi Hoti Hai Or Humidity Bhi Hoti Hai, Jabke Summer Ki Tulna Me Monsoon Me.
Pushkar Temperature Thoda Theek Hota Hai, Monsoon Me Yaha Zyaada Baarish To Nahi Hoti Hai.Balki Is Time Yaha Greenery Waghera Bhi Bahut Hoti Hai, Is Time Bhi.
Yaha Zyaada Tourists Nahi Jaate Hai, Jis Wajah Se Is Time Bhi Yaha Aapko Budget Me Hotels Waghera Mil Jaayenge.
Winter
November To February Tak Yaha Winter Season Hota Hai.Winter Pushkar Best Time To Visit Hota Hai Kyunki Is Time Yaha Ka Temperature Night Me Bahut Baar.
5° Degree Celsius Tak Pahunch Jaata Hai, Is Time Yaha Bahut Tourists Jaate Hai.Winter Yaha Ke Sightseeings Ke Saath Yaha Ki Adventure Activities Ke Liye Bhi Best Time Hai.
Is Time Yaha Bahut Zyaada Tourists Jaate Hai Jis Wajah Se Is Time Yaha Aap Hotels Advance Me Book Karke Jaa Sakte Hai.Agar Aap Yaha Winter Me Jaate Hai To Saath Me.
Garam Kapde Zaroor Leke Jaaye, Winter Me Yaha Ka Famous Mela Bhi Lagta Hai.( Varanasi Travel Guide Hindi )
Hotels In Pushkar
Aapko Yaha Rehne Ke Liye Aapke Budget Or Comfort Ke According Cheaps Se Lekar Luxury Tak Acche Pushkar Resorts, Hotels, Hostels, Villas, Camps Or Homestays Ke Alaawa.
Guest Houses Or Kuch Cottages Waghera Bhi Mil Jaayenge.Jinhe Aap Ya To Wahi Jaakar Le Sakte Hai Ya Fir Aap Bahut Se Pushkar Hotels Online Bhi Book Kar Sakte Hai.
Choice Aapki Hai, Yaha Aise Bahut Se Hotels Hai Jinse Lake Ka View Dikhta Hai.Agar Aap In Lakeview Hotels Me Rukte Hai To Aap Apne Hotel Se Hi Lakeview Bhi.
Enjoy Kar Sakte Hai, Yaha Ke Kuch Saste Or Acche Hotels Neeche Bataaye Gaye Hai.Jo Seasons Ke According Mehange Or Saste Bhi Ho Sakte Hai.
20 Budget & Pushkar Best Hotels
01. Green Park Pushkar Resort.
02. Hotel Green Park Haveli.
03. The Country Side Resort.
04. Hotel Amardeep Palace.
05. Hotel Bharatpur Palace.
06. Hotel Navratan Palace.
07. Milkman Guest House.
08. Hotel Kanhaia Haveli.
09. Hotel Keshav Palace.
10. Atithi Guest House.
11. Green Park Haveli.
12. Hotel Moonlight.
13. Hotel Lake View.
14. Chand Palace.
15. Hotel Everest.
16. The Hosteller.
17. Madpackers.
18. Moustache.
19. Hostlavie.
20. Zostel.
Agar Aapko Aisa Lagta Hai Ki Is Blog Se Aap Ki Kuch Help Huwi Hai.Ya Fir Aapko Ye Blog Pasand Aaya Ho To Hamaari Is Blog Website Ko Subscribe Karna Na Bhoole
Taaki Hamaare Aane Vaale Har Travel Blog Ke Baare Me Bhi Aapko Update Mile.Agar Aap Kisi Jagah Ke Baare Me Jaan Na Chahte Hai To.
Neeche Us Jagah Ka Naam Comment Kare Hum Us Jagah Ke Baare Me Jaldi Se Jaldi Blog Likhne Ki Koshish Karenge.
Comments
Post a Comment
If You Have Any Dought Let Me Know.